Monday, February 12, 2007

lyrics of song "Teri kasam humko teri yaadein jo...." from the movie- Meri Kahani



Teri kasam humko teri yaadein jo aati hain, hamein har pal satati hain. Ab to nahi lagta hamara dil tumhare bin , ab har dhadkan rulati hai.
Tumhara saath agar milta, hamara dil na yun jalta, ke jal ke humne raaton me, tadap kar bekarari me, gujaare hain wo kitne pal woh yaadon me.
Teri kasam humko teri yaadein jo aati hain, hamein har pal satati hain.............................................. Raho tum khush jidhar bhi ho, hamara haal mat poocho, hamari yeh duayen hain, tumhari jo bhi raahein hain, tumhe le jaayen gulshan me ,bahaaron me. Teri kasam humko teri yaadein jo aati hain , hamein har pal satati hain.............................................
Kyamat dil pe yun gujri , bhulayen hum bhala kaise, dhuaan uthta hai dil se yun, lagi thi aag yeh kaise, wahi sapne, wahi yaadein ,wahi beeti huyi baatein, jab aati hain hamein har pal jalati hain.
Teri kasam humko teri yaadein jo aati hain,
hamein har pal satati hain. ab to nahi lagta hamar dil tumahre bin,
ab har dhadkan rulati hai....................................